Aao aao dulari bhauji

aao aao dulari bhauji, nanadiyan pukare hai

laaye hai sone ke thali mein taufein
aao lelo na thali bhar taufe, nanadiyan pukare hai

laaye hai sone ke lota mein laddu
aao lelo na lota bhar laddu, nanadiyan pukare hai

laaye hai sone ke thali pe saari
aao lelo na rangeen saari, nanadiyan pukare hai

dekho nanad mil naache hai bhauji
sara mahal mein udham macha hai, nanadiyan pukare hai